Menu

Welcome

Oyster or Pearl
शीप और मोती
(A Sach Story Of Sach Love)


Me  Abhi tak to yahi soch raha hu ki Apani is choti si kahani ko kya naam du Mene bahut socha he is k bare me. Ki kya nam du is kahani ko fir mere jehan me ek kahani aati he jo kisi seep or moti ki kahani he Asal me ye bhi ek kahani hi nahi ek rahasy bhari dastan he jese is kahani me bhi rahasy chupa he .
Seep ek sagar me paye jane wala ek keede ka ghar hota he .is me ik keda apani jindgi ki suruaat karta he . wo apni jindagi bahut hi Anand se bitata he or surachit mahasus karta he.parantu ek reta ka partical usake Khol me andar  aa jata he to wah us kede ke sarir me bhaut hi  teji se chubhata he to  use bhut hi jyada dard hota he or usake sarir se ek taral padarth nikalne lagata he . wo taral padarth  us partical ke charo taraf ikkatha hota rahata he or jab tak wo keeda jinda rahata he tab tak use wo dard sahana padta he or us dard ki wajah se  uske sarir se wo sara taral padarth nikal jata he . or ant me us keede ki jinadagi samapt ho jati he .Tab jake ek moti ka nirman hota he . ye moti us keede ki jindagi bhar ki tadap ka sila hota he jo khoobsurati ki ek nisaani hota he.

Jindagi me jab dard milata he to isaka matlab sirf itana nahi hota ki is dard ka tumahari jindagi me koi  hissa nahi . Yahi wo sabase kimati lamha hota he jo hamari jindangi me  sabse jyada khubsoorati bhar deta he par ham ko is bat  ka andaja bhi nahi hota he.

No comments: